Ya Sayed Ali Meera Datar

Wiladat Mubarak

Shahenshah E Gujarat Hazrat Sayyed Ali Meera Datar (R.A)

Eid'Ul Fitr (Ramzan Eid) Ki Chand Raat Ko Peer (Monday) e Din Sayyed Ali Meera Datar Ki Wiladat(Birth) Hui Aur Us Daur Me Itna Haseen Bachcha Kisine Na Dekha Aur Aapke Chehre'E Anwar Se Noor Barasta Tha Aur Apki Pedaish Khanpur Ke Sayyed Wade Mein Hui Aur Aap Maa Ki Kokse Hi Wali The Aapke Peda Hote Hi Karamat Zahir Hone Lagi, Jab Aap 3 Mahine Ke Huwe Us Waqt Ahmed Shah Badshah Ne Hazrat Ilm'Uddin Se Kaha Patan Shehar Aur Uske Aaspas Bhill Aur Daku Waha Ke Logo Per Behad Zulm Kar Rahe The Aur Unka Maal'O Zarr Loot Rahe The Is Wajah Se Hazrat Dost Mohammed (Dasu Miyan) Ko Waha Ki Dekh Rekh Ke Liye Waha Ka Sardar E Aala Bana Kar Bheja Gaya.

Aur Aap Jab Ahmedabad Se Patan Ke Liye Rawana Huwe Us Bich Ek Leelapur Naam Ki Ek Jagah Thi Waha Apne Talab Ke Paas Qayam Kiya Jo Aaj Ke Daur Mein Unava Ke Naam Se Mashoor Hain Aur Aapka Patan Kaafi Ana-Jana Ho Raha Tha Us Wajah Se Apne Leelapur Mein Chawni Daali Aur Aapne Apni Fauz Ka Ek Daste Ko Wwaha Par Qayam Ke Liye Rakha Aur Wahan Ke Bhill Aur Daku'on Ko Apni Giraft Mein Le Kar Badshah Ke Darbar Bhej Diya Aur Ussi Daur Mein Mewasan Par Chadhai Ki Aur Mewasan Ke Raja Ko Maat Di Aur Mewasan Par Fatah Hasil Ki Aur Pura Qabila Yaha Aaram Se Rehne Laga.

Taarikh

Shahenshah E Gujarat Hazrat Sayyed Ali Meera Datar (R.A)

Watch Video
Farmaan E

Maula E Qaynaat
Ali Shere Khuda

Agar Raasta Khubsurat Hai Tu Pata Karo k Kis Manzil Ko Jata Hai, Lekin Agar Manzil Khubsurat Hai Tu Raste Ki Parwah Mat Karo.

Hazrat Ali Radiallahu Anhu
Janasheen E RasoolAllah

Yeh Na Socho Ki ALLAH Dua Fauran Qabool Kyun Nahi Karta, Yeh Shukr Karo Ki ALLAH Hamare Gunahon Ki Saza Fauran Nahi Deta.

Hazrat Ali Radiallahu Anhu
Janasheen E RasoolAllah

Rab Se Jab Bhi Maango, Accha Mukaddar Maango, Mene Bade Bade Akalmando Ko, Mukaddar Walo Ke Aage Zhukte Dekha Hai.

Hazrat Ali Radiallahu Anhu
Janasheen E RasoolAllah
Khadim

Sayyed Ali
Meera Datar (R.A)

Sayyad Abu Mohammed Ki Aulaad'o Mein Se Saiyed Sayyad Bhura Miya Aur Sayyad Murtaza Miya Ki Aal Se Khuddaaman E Sayyad Ali Meera Datar Ka Silsila E Nasab chal raha hai aur taman Sajjada Inhi Ki Aulaad me se hain.

Sayyad Abid Miya
Sayyad Nazim Miya
Sayed Abid Miya
Sayed Ayub Miya
Sayed Nazim Miya
Islaamee Samudaay ke

12 Imams

Imaam Paigambar Mohammed (Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam) ke Ahle-Bait ke Baarah Sadasy hain jo Paigambar Mohammed (Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam) ke Uttara'Adhikaaree hain aur unake baad Islaamee Samudaay ke Imaam Hain.

Un 12 Imaamo Ke Naam Yeh Hain:

  • Hazrat Imaan Ali Ibn E AbuTalib
  • Hazrat Imaan Hassan Ibn E Ali
  • Hazrat Imaan Hussain Ibn E Ali
  • Hazrat Imaan Ali Ibn E Hussain (Imaan Zainul'Aabideen)
  • Hazrat Imaan Mohammed Ibn E Ali (Imaan Mohammed Al Baqir)
  • Hazrat Imaan Jaafar Ibn E Mohammed (Imaan Jaafer As'Saadiq)
  • Hazrat Imaan Moosa Ibn E Jaafar (Imaan Moosa Kaazim)
  • Hazrat Imaan Ali Ibn E Moosa (Imaan Ali Raza)
  • Hazrat Imaan Mohammed Ibn E Ali (Imaan Ali Taqi)
  • Hazrat Imaan Ali Ibn E Mohammed (Imaan Ali Naqi)
  • Hazrat Imaan Hassab Ibn E Ali (Imaam Hassan Askari)
  • Hazrat Imaan Mohammed Ibn E Hassan (Imaam Mehdi)
Baat Karein

Apni Takleef
Aur Pareshani Ke liye.