Ya Sayed Ali Meera Datar

Bachpan Ki Karamat

Shahenshah E Gujarat Hazrat Sayyed Ali Meera Datar (R.A)

Hazrat Sayyed Ali Meera Datar (R.A) Ki Karamat Bachpan Se Zahir Hone Lagi Thi Jab Aap Chote The Aur Dudh Peene Ke Liye Ro Rahe The Aur Damaa'n Amma Ne Hazrat Sayyed Ali Meera Datar (R.A) Ko Goad Mein Liya Aur Gale Laga Kar Allah Se Dua Ki Ke Aagar Mujhe Dudh Ata To Mein Hazrat Sayyed Ali Meera Datar (R.A) Ko Dudh Zaroor Pilati Aapka Itna Kehna Tha Ki Aap Ki Dua Fauran Qubool Ki Gai Aur Aapko Dudh Zari Hone Laga Aur Damaa'n Amma Ne Aapko Dudh Pilaya Aur Ye Karamat Dekh Kar Log Hairan Hogaye Aur Sabko Yaqeen Hogaya Ye Zaroor Allah Ke Wali Hain Aur Aapke Walid Sahab Hazrat Dost Mohammed Ne Daulat Bibi Se Nikah Karliya .

Taarikh

Shahenshah E Gujarat Hazrat Sayyed Ali Meera Datar (R.A)

Watch Video
Farmaan E

Maula E Qaynaat
Ali Shere Khuda

Agar Raasta Khubsurat Hai Tu Pata Karo k Kis Manzil Ko Jata Hai, Lekin Agar Manzil Khubsurat Hai Tu Raste Ki Parwah Mat Karo.

Hazrat Ali Radiallahu Anhu
Janasheen E RasoolAllah

Yeh Na Socho Ki ALLAH Dua Fauran Qabool Kyun Nahi Karta, Yeh Shukr Karo Ki ALLAH Hamare Gunahon Ki Saza Fauran Nahi Deta.

Hazrat Ali Radiallahu Anhu
Janasheen E RasoolAllah

Rab Se Jab Bhi Maango, Accha Mukaddar Maango, Mene Bade Bade Akalmando Ko, Mukaddar Walo Ke Aage Zhukte Dekha Hai.

Hazrat Ali Radiallahu Anhu
Janasheen E RasoolAllah
Khadim

Sayyed Ali
Meera Datar (R.A)

Sayyad Abu Mohammed Ki Aulaad'o Mein Se Saiyed Sayyad Bhura Miya Aur Sayyad Murtaza Miya Ki Aal Se Khuddaaman E Sayyad Ali Meera Datar Ka Silsila E Nasab chal raha hai aur taman Sajjada Inhi Ki Aulaad me se hain.

Sayyad Abid Miya
Sayyad Nazim Miya
Sayed Abid Miya
Sayed Ayub Miya
Sayed Nazim Miya
Islaamee Samudaay ke

12 Imams

Imaam Paigambar Mohammed (Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam) ke Ahle-Bait ke Baarah Sadasy hain jo Paigambar Mohammed (Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam) ke Uttara'Adhikaaree hain aur unake baad Islaamee Samudaay ke Imaam Hain.

Un 12 Imaamo Ke Naam Yeh Hain:

  • Hazrat Imaan Ali Ibn E AbuTalib
  • Hazrat Imaan Hassan Ibn E Ali
  • Hazrat Imaan Hussain Ibn E Ali
  • Hazrat Imaan Ali Ibn E Hussain (Imaan Zainul'Aabideen)
  • Hazrat Imaan Mohammed Ibn E Ali (Imaan Mohammed Al Baqir)
  • Hazrat Imaan Jaafar Ibn E Mohammed (Imaan Jaafer As'Saadiq)
  • Hazrat Imaan Moosa Ibn E Jaafar (Imaan Moosa Kaazim)
  • Hazrat Imaan Ali Ibn E Moosa (Imaan Ali Raza)
  • Hazrat Imaan Mohammed Ibn E Ali (Imaan Ali Taqi)
  • Hazrat Imaan Ali Ibn E Mohammed (Imaan Ali Naqi)
  • Hazrat Imaan Hassab Ibn E Ali (Imaam Hassan Askari)
  • Hazrat Imaan Mohammed Ibn E Hassan (Imaam Mehdi)
Baat Karein

Apni Takleef
Aur Pareshani Ke liye.