Ya Sayed Ali Meera Datar

Jung E Mandavgad

Shahenshah E Gujarat Hazrat Sayyed Ali Meera Datar (R.A)

Unava Se Namaz Padne Ke Bad Ap Mandughadh Ke Liye Rawana Hue Waha Mandughad Me Ap Ke Dada Jaan Se Apki Khaime Me Mulaqat Hui Aur Usi Raat Ko Zoro Ki Andhi Chali Tufaan Aay Aur Tamam Ke Tamam Khaime Ud Gaye Bs Aik Khaima Reh Gaya Jaha Ap Saiyed Ali Sarkar Aur Ap Ke Dada Jaan Quran Ki Tilawat Kar Rahe The . Aur Jab Badshah Ne Dekha Ki Sare Khaime Ud Chuke He Aur Bs Aik Hi Khema Reh Gaya He Tab Use Yaqin A Gaya Ke Jin Ke Hatoñ Ye Fatah Likhi He Hazrat Ilmuddin Ke Pote Saiyed Ali Aa Chuke He Aur Fir Badshan Ne Khaime Ki Aur Bad Kar Huzuur Saiyed Ali Se Mulaqat Li Aur Badshah Pur Sukoon Aur Bahot Khush Hue Unhe Ye Baat Ka Yaqin Aagaya Ki Ab Inshallah Zaroor Fatah Hogi Badshah Ne Saiyed Ali Se Mil Kar Pura Waqiya Bayan Kiya Qissa Sun Ne Ke Bad Ap Sarkar Ne Kaha Ki Khuda Ki Yahai Marzi He To Meiñ Mandughadh Ke Raza Ko Sahi Raste Le Aunga Agar Na Mana To Use Aur Uske Zulm Ko Khatm Kar Diya Jayega Aur Jab Huzur Saiyed Ali Se Ye Bat Suni To Badshah Ke Dil Se Boz Utar Gaya Aur Unhe Yaqin Aa Gaya Ki Bs Ab Fatah Hamare Hathoñ Me Hogi

Taarikh

Shahenshah E Gujarat Hazrat Sayyed Ali Meera Datar (R.A)

Watch Video
Farmaan E

Maula E Qaynaat
Ali Shere Khuda

Agar Raasta Khubsurat Hai Tu Pata Karo k Kis Manzil Ko Jata Hai, Lekin Agar Manzil Khubsurat Hai Tu Raste Ki Parwah Mat Karo.

Hazrat Ali Radiallahu Anhu
Janasheen E RasoolAllah

Yeh Na Socho Ki ALLAH Dua Fauran Qabool Kyun Nahi Karta, Yeh Shukr Karo Ki ALLAH Hamare Gunahon Ki Saza Fauran Nahi Deta.

Hazrat Ali Radiallahu Anhu
Janasheen E RasoolAllah

Rab Se Jab Bhi Maango, Accha Mukaddar Maango, Mene Bade Bade Akalmando Ko, Mukaddar Walo Ke Aage Zhukte Dekha Hai.

Hazrat Ali Radiallahu Anhu
Janasheen E RasoolAllah
Khadim

Sayyed Ali
Meera Datar (R.A)

Sayyad Abu Mohammed Ki Aulaad'o Mein Se Saiyed Sayyad Bhura Miya Aur Sayyad Murtaza Miya Ki Aal Se Khuddaaman E Sayyad Ali Meera Datar Ka Silsila E Nasab chal raha hai aur taman Sajjada Inhi Ki Aulaad me se hain.

Sayyad Abid Miya
Sayyad Nazim Miya
Sayed Abid Miya
Sayed Ayub Miya
Sayed Nazim Miya
Islaamee Samudaay ke

12 Imams

Imaam Paigambar Mohammed (Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam) ke Ahle-Bait ke Baarah Sadasy hain jo Paigambar Mohammed (Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam) ke Uttara'Adhikaaree hain aur unake baad Islaamee Samudaay ke Imaam Hain.

Un 12 Imaamo Ke Naam Yeh Hain:

  • Hazrat Imaan Ali Ibn E AbuTalib
  • Hazrat Imaan Hassan Ibn E Ali
  • Hazrat Imaan Hussain Ibn E Ali
  • Hazrat Imaan Ali Ibn E Hussain (Imaan Zainul'Aabideen)
  • Hazrat Imaan Mohammed Ibn E Ali (Imaan Mohammed Al Baqir)
  • Hazrat Imaan Jaafar Ibn E Mohammed (Imaan Jaafer As'Saadiq)
  • Hazrat Imaan Moosa Ibn E Jaafar (Imaan Moosa Kaazim)
  • Hazrat Imaan Ali Ibn E Moosa (Imaan Ali Raza)
  • Hazrat Imaan Mohammed Ibn E Ali (Imaan Ali Taqi)
  • Hazrat Imaan Ali Ibn E Mohammed (Imaan Ali Naqi)
  • Hazrat Imaan Hassab Ibn E Ali (Imaam Hassan Askari)
  • Hazrat Imaan Mohammed Ibn E Hassan (Imaam Mehdi)
Baat Karein

Apni Takleef
Aur Pareshani Ke liye.