Ya Sayed Ali Meera Datar

Tarbiyat

Shahenshah E Gujarat Hazrat Sayyed Ali Meera Datar (R.A)

Dama Amma Dadi Jaan Aur Dada Jaan Ke Hathon Hazrat Sayyed Ali Meera Datar (R.A) Ki Parwarish Ki Gai Talim Aapne Apne Dadajaan Se Ahmedabad Me Hasil Ki Aap Bade Naiq Aur Parhezghar The Aap Ka Har Waqt Ibadat Me Guzarta Tha Aur Us Zamane Me Koi Bi Mazlum Bimar Koi Bi Shaqas Apni Taqlif Le Kar Aata Tha To Hamesa Sifayab Aur Raazi Ho Kar Jata Tha Sarkar Ki Sobat Mein Kai Log Imaan Ke Noor Se Munawwar Huwe Aap Wahi Kaam Karte Jis Se Allah Aur Allah Ke Rasool (Sallallaho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam) Khush Hote Aapka Har Qadam Huzoor (Sallallaho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam) Sunnaton Ke Mutabiq Hota. Logo Ko Allah Ki Sahi Pehchaan Bata Kar, Raah E Haq Ka Rasta Dikhate Aur Aap Imam Hussain (Alaihissalam) Ke Naqse Qadam Par Chalte The Aap Ke Dil Me Bhi Ye Jazba Tha Ki Mujhe Bhi Sahadat Naseeb Ho Aur Meiñ Bhi Allah Ki Raah Me Shaheed Ho Jaun Jaha Bhi Aap Jate Aapke Akhlaq Ko Dekh Kar Log Tarbiyat Hasil Karte The Aapko Har Waqt Mazlum Aur Yatimon Ka Khayal Rehta Tha Aur Jaha Kahi Zulm Hota Sabse Pehle Awaz Aap Uthate The Aap Ne Apni Puri Zindaghi Rah E Haq Batane Mein Guzar Di.

Taarikh

Shahenshah E Gujarat Hazrat Sayyed Ali Meera Datar (R.A)

Watch Video
Farmaan E

Maula E Qaynaat
Ali Shere Khuda

Agar Raasta Khubsurat Hai Tu Pata Karo k Kis Manzil Ko Jata Hai, Lekin Agar Manzil Khubsurat Hai Tu Raste Ki Parwah Mat Karo.

Hazrat Ali Radiallahu Anhu
Janasheen E RasoolAllah

Yeh Na Socho Ki ALLAH Dua Fauran Qabool Kyun Nahi Karta, Yeh Shukr Karo Ki ALLAH Hamare Gunahon Ki Saza Fauran Nahi Deta.

Hazrat Ali Radiallahu Anhu
Janasheen E RasoolAllah

Rab Se Jab Bhi Maango, Accha Mukaddar Maango, Mene Bade Bade Akalmando Ko, Mukaddar Walo Ke Aage Zhukte Dekha Hai.

Hazrat Ali Radiallahu Anhu
Janasheen E RasoolAllah
Khadim

Sayyed Ali
Meera Datar (R.A)

Sayyad Abu Mohammed Ki Aulaad'o Mein Se Saiyed Sayyad Bhura Miya Aur Sayyad Murtaza Miya Ki Aal Se Khuddaaman E Sayyad Ali Meera Datar Ka Silsila E Nasab chal raha hai aur taman Sajjada Inhi Ki Aulaad me se hain.

Sayyad Abid Miya
Sayyad Nazim Miya
Sayed Abid Miya
Sayed Ayub Miya
Sayed Nazim Miya
Islaamee Samudaay ke

12 Imams

Imaam Paigambar Mohammed (Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam) ke Ahle-Bait ke Baarah Sadasy hain jo Paigambar Mohammed (Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam) ke Uttara'Adhikaaree hain aur unake baad Islaamee Samudaay ke Imaam Hain.

Un 12 Imaamo Ke Naam Yeh Hain:

  • Hazrat Imaan Ali Ibn E AbuTalib
  • Hazrat Imaan Hassan Ibn E Ali
  • Hazrat Imaan Hussain Ibn E Ali
  • Hazrat Imaan Ali Ibn E Hussain (Imaan Zainul'Aabideen)
  • Hazrat Imaan Mohammed Ibn E Ali (Imaan Mohammed Al Baqir)
  • Hazrat Imaan Jaafar Ibn E Mohammed (Imaan Jaafer As'Saadiq)
  • Hazrat Imaan Moosa Ibn E Jaafar (Imaan Moosa Kaazim)
  • Hazrat Imaan Ali Ibn E Moosa (Imaan Ali Raza)
  • Hazrat Imaan Mohammed Ibn E Ali (Imaan Ali Taqi)
  • Hazrat Imaan Ali Ibn E Mohammed (Imaan Ali Naqi)
  • Hazrat Imaan Hassab Ibn E Ali (Imaam Hassan Askari)
  • Hazrat Imaan Mohammed Ibn E Hassan (Imaam Mehdi)
Baat Karein

Apni Takleef
Aur Pareshani Ke liye.