Ya Sayed Ali Meera Datar

Shahadat

Shahenshah E Gujarat Hazrat Sayyed Ali Meera Datar (R.A)

Aur Saiyed Ali Ko Yaqin Dilane Ke Liye Mehandi Raja Ne Kaha Ki Mera Sara Jaadu Ye Meri Chonti Me He Aap Is Chonti Ko Kaat Dijiye Aur Apne Kadmo Me Dafn Kar Dijiye Aur Saiyed Ali Ne Us Raja Ki Chonti Ko Kaat Di Aur Wo Iman Ka Jutha Nataq Karte Hue Saiyed Ali Ke Qadmo Me Gir Ke Mafi Mangne Laga Aur Sahi Mauke Ki Talash Me Tha Aur Jab Saiyed Ali Ko Puri Tarah Us Par Yaqin A Gaya To Usne Sahi Muaqa Dekh Kar Dhoke Se Saiyed Ali Ko Shaheed Kar Diya Aur Ap Ka Sar Mubarak Kat Kar Zamin Par Gira Aur Ap Ka Dhadh Mubarak Wese Hi Khada Tha Aur Apne Usi Halat Me Mehandi Ke Tin Tukde Kar Diye Aur Huzoor Saiyed Ali Mirañ Datar Bi Saheed Ho Gaye Jis Din Huzoor Saiyed Ali Shaheed Hue Wo Jummah Ka Din Tha Aur 29 Muharram ( ) Thi

Jis Jagha Par Ap Shaheed Hue Apke Jism Mubarak Par Fuloñ Ka Dher Ho Gaya Saiyed Ali Ne Imaan Kasim Ibne Hasan ( A.s ) Ki Sunnat Ko Zindda Kiya Karbala Ke Medan Me Imam Kasim A.s Ki Shahadat Hui Tab Ap Ek Din Ke Dulha The Isi Tarah Huzoor Mirañ Saiyed Ali Ki Shadi Hone Wali Thi Aur Allah Ki Raah Me Shaheed Ho Gaye Aur Saiyed Ali Ne Apne Dada Jaan Ko Basharat Me Bataya Ki Ham Mandughadh Kile Ko Fatah Kar Chuka He Aur Ham Bhi Raah E Khuda Me Shaheed Ho Chuka He Mandughadh Me Jo Luhani Gufa He Waha Se Mujhe Le Ja Kar Jaha Mene Miswak Gadha Tha ( Unava ) Meiñ Wahi Mujhi Tadfin Kijiye Aur Wahi Mera Mazar Banwaiye Aur Mere Kadmo Me Is Raja Ki Choti Ko Dafn Kijiye Hazrat Ilmuddin Apni Bsharat Ke Bare Me Badsha Mehmood Begda Ko Bataya Aur Badhsha Ne Huzrat Ilmuddin Se Kaha Ki Meiñ Ap Ke Gham Me Barbar Sarik Hu Badhsha Aur Hazrat Ilmuddin Apne Sipahiyoñ Ke Sath Luhani Gufa Meiñ Pohñche Gufa Ke Bahar Saiyed Ali Ka Ghoda Khada Hua Tha Ghoda Dada Jaan Ko Saiyed Ali Tak Le Kar Gaya Ap Ye Dekh Kar Heran Reh Gaye Ki Jis Jagha Saiyed Ali Shaheed Hue Us Jagha Fuloñ Ka Dher Ban Chuka Tha

Taarikh

Shahenshah E Gujarat Hazrat Sayyed Ali Meera Datar (R.A)

Watch Video
Farmaan E

Maula E Qaynaat
Ali Shere Khuda

Agar Raasta Khubsurat Hai Tu Pata Karo k Kis Manzil Ko Jata Hai, Lekin Agar Manzil Khubsurat Hai Tu Raste Ki Parwah Mat Karo.

Hazrat Ali Radiallahu Anhu
Janasheen E RasoolAllah

Yeh Na Socho Ki ALLAH Dua Fauran Qabool Kyun Nahi Karta, Yeh Shukr Karo Ki ALLAH Hamare Gunahon Ki Saza Fauran Nahi Deta.

Hazrat Ali Radiallahu Anhu
Janasheen E RasoolAllah

Rab Se Jab Bhi Maango, Accha Mukaddar Maango, Mene Bade Bade Akalmando Ko, Mukaddar Walo Ke Aage Zhukte Dekha Hai.

Hazrat Ali Radiallahu Anhu
Janasheen E RasoolAllah
Khadim

Sayyed Ali
Meera Datar (R.A)

Sayyad Abu Mohammed Ki Aulaad'o Mein Se Saiyed Sayyad Bhura Miya Aur Sayyad Murtaza Miya Ki Aal Se Khuddaaman E Sayyad Ali Meera Datar Ka Silsila E Nasab chal raha hai aur taman Sajjada Inhi Ki Aulaad me se hain.

Sayyad Abid Miya
Sayyad Nazim Miya
Sayed Abid Miya
Sayed Ayub Miya
Sayed Nazim Miya
Islaamee Samudaay ke

12 Imams

Imaam Paigambar Mohammed (Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam) ke Ahle-Bait ke Baarah Sadasy hain jo Paigambar Mohammed (Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam) ke Uttara'Adhikaaree hain aur unake baad Islaamee Samudaay ke Imaam Hain.

Un 12 Imaamo Ke Naam Yeh Hain:

  • Hazrat Imaan Ali Ibn E AbuTalib
  • Hazrat Imaan Hassan Ibn E Ali
  • Hazrat Imaan Hussain Ibn E Ali
  • Hazrat Imaan Ali Ibn E Hussain (Imaan Zainul'Aabideen)
  • Hazrat Imaan Mohammed Ibn E Ali (Imaan Mohammed Al Baqir)
  • Hazrat Imaan Jaafar Ibn E Mohammed (Imaan Jaafer As'Saadiq)
  • Hazrat Imaan Moosa Ibn E Jaafar (Imaan Moosa Kaazim)
  • Hazrat Imaan Ali Ibn E Moosa (Imaan Ali Raza)
  • Hazrat Imaan Mohammed Ibn E Ali (Imaan Ali Taqi)
  • Hazrat Imaan Ali Ibn E Mohammed (Imaan Ali Naqi)
  • Hazrat Imaan Hassab Ibn E Ali (Imaam Hassan Askari)
  • Hazrat Imaan Mohammed Ibn E Hassan (Imaam Mehdi)
Baat Karein

Apni Takleef
Aur Pareshani Ke liye.