Ya Sayed Ali Meera Datar

Hijrat

Shahenshah E Gujarat Hazrat Sayyed Ali Meera Datar (R.A)

Sheikh Shahab'Uddin Hussain Apne Piyaare Watan Uzbekishtan Ke Saher Bukhara Se Apne Ehl'O Ayaal Aur Apne Ashab'O Aqarib Ke Sath Hind (Hindushtan) Ke Shehar Lucknow Mein Chote Se Kasbe (Kada) Mein Tashreef Laye Us Qafile Mein Aapke Shehzaade Saiyed Ilm'Uddin Bhi Shamil The Aur Apne Yahi Lucknow Mein Qayaam Farmaya Aur Majboor Aur Yatim Logo Ki Madad Karte Rage. Logo Ko Zulm Se Bachaya Karte The Aur Aap Luckhnow Ki Sarzamin Ke Liye Aman Ka Baiz Bane Aur Kuch Saal Guzarne Ke Baad Apka Visaal Hua (Inna Lillahi Wa Inna Ilayhi Razjiyoun).

Apke Walid Ke Visaal Ke Baad Apke Shehzaade Saiyed Ilm'Uddin Apne Ehl'O Ayaal Ko Le Kar Gujrat Ke Shehar Ahmedabad Ki Janib Tashreef Le Aaye Aur Ahmedabad Mein Aapki Mulaqat Apne Chacha Zaat Bhai Qutbe Alam Se Hui Aur Us Zamane Mein Ahmedabad Ka Badshah Ahmedshah Tha Qutbe Alam Sarkar Hazrat Ilm'Uddin Se Mil Kar Bahot Khush Huwe Apki Badi Khatir Tavajo Ki Fir Apki Ahmedshah Se Karwai Aur Aapko Badshah Ne Khaanpur Mein Rehne Ke Liye Jagha Di Aur Apki Sujat Aur Danishmandi Ko Nazar Rakhte Hue Aap Ko Apni Fauz Ka Sipeh Saalar Bana Diya Gaya.

Hazrat Ilm'Uddin Bahot Hi Parhezghar Buzurgh The Aur Apki Fauz Ke Sare Sipahi Ko Deen Ke Raaste Par Chalne Ki Taqit Karte Aur Huzoor Nabi E Rehmat (Sallallaho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam) Ki Sunnat Par Chalne Ki Nasihat Karte Aur Sachchai Par Rehne Ki Nasihat Karte Mazloom Aur Yatimoñ Ki Madad Ke Liye Awaz Uthane Ki Kisi Par Zulm Na Karne Ki Hiadayat Dete Aur Apki Sohbat Se Fauz Ke Bahot Se Sipahi Aapke Mureed Hue Aur Imaan Ki Roshni Se Roshan Hue.

Us Daur Me Usmanpura Mein Sameh Burani Jinka Naam Usman Tha Unka Bi Bahot Naam Tha Aur Unki Mureed Banne Keliye Logo Ka Door Se Ana Hota Tha. Saiyed Ilm'Uddin Ke Sahabzade Dost Mohammad Ka Niqah Sameh Burani Ki Bahen Aisha Bibi Se Huwa Jinhe Ham Jannati Maa Rasti Amma Ke Naam Se Jante He Aap Saidani The Aap Aale Rasool (Sallallaho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam) The Ap Muqaddas Paak Zaat Ki Shaan Me Jo Kahe Kam He Aapka Sara Khandan Allah Ke Waliyoñ Se Bhara Hua He Maa Ke Khandan Se Bhi Aur Baap Ke Khandan Se Bhi Wilayati Silsila Hain. Dost Muahammad Bahot Bahadur The Talvaar Ke Mahir The Nidar Janghju The. Jahan Kahi Jang Hoti To Dost Muhammad Ke Hathon Jaroor Fatah Hoti Aur Ahmedshah Badshah Apki Bahot Izzat Karte The Aap Apne Qabile Ke Sath Khanpur Me Rehte The. Aur Wahañ Ap Ko Larka Paida Hua Jiska Naam Abu Muhammad Rakha.

Taarikh

Shahenshah E Gujarat Hazrat Sayyed Ali Meera Datar (R.A)

Watch Video
Farmaan E

Maula E Qaynaat
Ali Shere Khuda

Agar Raasta Khubsurat Hai Tu Pata Karo k Kis Manzil Ko Jata Hai, Lekin Agar Manzil Khubsurat Hai Tu Raste Ki Parwah Mat Karo.

Hazrat Ali Radiallahu Anhu
Janasheen E RasoolAllah

Yeh Na Socho Ki ALLAH Dua Fauran Qabool Kyun Nahi Karta, Yeh Shukr Karo Ki ALLAH Hamare Gunahon Ki Saza Fauran Nahi Deta.

Hazrat Ali Radiallahu Anhu
Janasheen E RasoolAllah

Rab Se Jab Bhi Maango, Accha Mukaddar Maango, Mene Bade Bade Akalmando Ko, Mukaddar Walo Ke Aage Zhukte Dekha Hai.

Hazrat Ali Radiallahu Anhu
Janasheen E RasoolAllah
Khadim

Sayyed Ali
Meera Datar (R.A)

Sayyad Abu Mohammed Ki Aulaad'o Mein Se Saiyed Sayyad Bhura Miya Aur Sayyad Murtaza Miya Ki Aal Se Khuddaaman E Sayyad Ali Meera Datar Ka Silsila E Nasab chal raha hai aur taman Sajjada Inhi Ki Aulaad me se hain.

Sayyad Abid Miya
Sayyad Nazim Miya
Sayed Abid Miya
Sayed Ayub Miya
Sayed Nazim Miya
Islaamee Samudaay ke

12 Imams

Imaam Paigambar Mohammed (Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam) ke Ahle-Bait ke Baarah Sadasy hain jo Paigambar Mohammed (Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam) ke Uttara'Adhikaaree hain aur unake baad Islaamee Samudaay ke Imaam Hain.

Un 12 Imaamo Ke Naam Yeh Hain:

  • Hazrat Imaan Ali Ibn E AbuTalib
  • Hazrat Imaan Hassan Ibn E Ali
  • Hazrat Imaan Hussain Ibn E Ali
  • Hazrat Imaan Ali Ibn E Hussain (Imaan Zainul'Aabideen)
  • Hazrat Imaan Mohammed Ibn E Ali (Imaan Mohammed Al Baqir)
  • Hazrat Imaan Jaafar Ibn E Mohammed (Imaan Jaafer As'Saadiq)
  • Hazrat Imaan Moosa Ibn E Jaafar (Imaan Moosa Kaazim)
  • Hazrat Imaan Ali Ibn E Moosa (Imaan Ali Raza)
  • Hazrat Imaan Mohammed Ibn E Ali (Imaan Ali Taqi)
  • Hazrat Imaan Ali Ibn E Mohammed (Imaan Ali Naqi)
  • Hazrat Imaan Hassab Ibn E Ali (Imaam Hassan Askari)
  • Hazrat Imaan Mohammed Ibn E Hassan (Imaam Mehdi)
Baat Karein

Apni Takleef
Aur Pareshani Ke liye.